urdu Nazam
Azab a gya ha
Azab a gya ha
Azab a gya ha
Samajh lo k yum e hisaab a gya ha
ya be baki zehno ki resha dani
ya la muntahe dairo ki kahani
ya roohon k such ko dubany ki sazish
Cheragh e khurd ki garibana lo sa
Zaman o makah ki uth zulmatu ma
talash e mafi ki ba sood kosish
ya johar ki jumbish
ya khulyo ki yorish
ya roz aik nay falsafy ki parsish
ya har roz ki neet naee akhtrian
ya be ja takabur sa pholi Anayin
Inhain ab bhukutni parain ge sazain
Bta do inhain sub jabenain jhukain
Khushu o nedamat ki rooh pa sajain
Laboon pa ravan hun saheeda, duain
To shaid khuda muaf kr da khutain
Bala ko meta da
Waba sa nematna ka rasta saja da
Bas aik bar ya raz koi bta da
jo nalan ha akhir wo kis ka khuda ha
Kaha kis k mabad pa sar takna ha
Bhajan kis k gany hn
Kis k mujavar ka dil jeetna ha
Kis k astanay pa jaan ko lutta dain
Kaha pa khurd ki billi ko charha dain
urdu Nazam